Sapno ki umar me majdoori
Yaad hai vo bachpan ki hasi,
Yaad hai vo bachpan ki khushi,
Yaad hai vo bachpan ka mazza,
Par duniya me kai saare bacche aise the jinke pass koi bachpan hi nai tha!
Jiss umar me usse khelna tha,
Jiss umar me usse padhna tha,
Jiss umar me usse bada admi banneka sapna tha,
Us umar me unke upar jindagi ka bhari booj daal diya tha!
Ab aisei bhi kya majbooriya ki usse apna bachpan hi bhulana pada.
Kaun hai ye haivan,
Kaha se aate hai ye haivan,
Jinhone un bacchose apna bachoan hi chin liya,
Aur unke saare sapno ko chakna chur kar diya.
Hum bhi un haivano me se ke hai jo ye sab dekh ke bhi hum chup baith the hai,
Un bacho ko apna bachpan naa de sake ,
Aao sab milkar ye pratigya le ke,
"hum jaha kahi child labour deke toh use rokne ki koshih kare, naaki haivan ban ke chup chap ye sab dekhte rahe aur inka hissa bane".
Comments
Post a Comment